Skip to main content

Husan Ko Lajawab Hona tha By RJ Owais Younis

Husan ko Lajawab hona tha

husn ko lajawab hona tha,
shauq ko kamyab hona tha,
hijar main kaif-e-izterab na pucho,
khoon-e-dil ko sharab hona tha,
teray jalwon main ghhir gaya aakar,
zarray ko aaftab hona tha,
kuch tumhari nigah kafir thee,
kuch mujhay bhee kharab hona tha,
raat taaron ka tootna bhee majaz,
baa'is-e-izteraab hona tha

Comments

Popular posts from this blog

Urdu Poetry Ahmad Faraz | Kuch na kisi se bolain gay

Ahmed Faraz was a Pakistani Urdu poet. Faraz has been compared with Faiz Ahmad Faiz, holds a unique position as one of the best poets of current times, with a fine but simple style of writing. Even common people can easily understand his poetry. Kuch na kisi se bolain gay Tanhai main ro lain gay Hum be'raah'rawon ka kya Saath kisi kay ho lain gay Khud to huye ruswa lakin Teray bhaid na kholain gay Jeewan zehar bhara sagar Kab tak amrat gholain gay Hijar ki shab sonay walay Hashar ki aankhein kholain gay Phir koi Aandhi uthay gi Punchi jab par tolain gay Neend to kya aaye gi Faraz Mout aayi to so lain gay کچھ نہ کسی سے بولیں گے تنہائی میں رو لیں گے ھم بے راہ روں کا کیا ساتھ کسی کے ھو لیں گے خود تو ھُوئے رُسوا لیکن تیرے بھید نہ کھولیں گے جیون زھر بھرا ساگر کب تک امرت گھولیں گے ھجر کی شب سونے والے حشر کو آنکھیں کھولیں گے پھر کوئی آندھی اُٹھے گی پنچھی جب پر تولیں گے نیند تو کیا آئے گی ، فراز موت آئی تو سو لیں گے ”احمّد فراز“ Poet: Ahmad fara...

زندگی میں خیر خواہ لوگ کم اور خواہ مخواہ....ذیادہ ہیں

خاموش لب ہیں جھکی ہیں پلکیں، دلوں میں اُلفت نئی نئی ہے

خاموش لب ہیں جھکی ہیں پلکیں، دلوں میں اُلفت نئی نئی ہے Khamosh lab hain jhuki hain palken Dilon mai ulfat nayi nayi hai Abhi takaluf hai guftugu mai Abhi muhabbat nayi nayi hai Abhi na ayegi neend tum ko Abhi na hum ko sukoon milega Abhi to dharke ga dil zyada Abhi ye chahat nayi nayi hai Bahaar ka aaj pehla din hai Chalo chaman mai tehel ke ayen Fiza mai khushbo nayi nayi hai Gulon mai rangat nayi nayi hai Jo khandani raees hain wo Mizaaj rakhte hain narm apna Tumhara lehja bata raha hai Tumhari dolat nayi nayi hai Zara sa qudrat ne kya nawaza Ke aake bethe ho pehli saff mai Abhi se urhne lage hawa mai Abhi to shohrat nayi nayi hai